Kabhu Humse Bhi Wafa Kijiyega

kabhu hum se bhi wafa kijiyega

ya yahi jaur-o-jafa kijiyega

dekhen dushnam kahan tak doge

dam mein sau bar dua kijiyega

nazar aata hai girah zulf se khol

har taraf fitna bapa kijiyega

jaan-o-dil se bhi guzar jaenge

agar aisa hi KHafa kijiyega

ki hai bande ke liye ye be-dad

rahm Tuk bahr-e-KHuda kijiyega

ishq ke sadqe uThata tha dil

ab to wo bhi nahin kya kijiyega

ab to Tuk mera kaha kijiye phir

chahiyega so kaha kijiyega

go use ahl-e-wafa se hai KHilaf

ab 'asar' tu bhi wafa kijiyega

(367) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kabhu Humse Bhi Wafa Kijiyega In English By Famous Poet Meer Asar. Kabhu Humse Bhi Wafa Kijiyega is written by Meer Asar. Read famous Poem Kabhu Humse Bhi Wafa Kijiyega for youth and Student by Meer Asar. Free Download Kabhu Humse Bhi Wafa Kijiyega in PDF.