Sarf-e-gham Humne Naujawani Ki

sarf-e-gham hum ne naujawani ki

wah kya KHub zindagani ki

apni biti agar main tujh se kahun

baat nibDe na is kahani ki

tere daghon ki ai gham-e-ulfat

KHub hum ne bhi baghbani ki

jun nigah dil gaya hai aaankhon ki rah

garche hum ne nigahbani ki

kis ke han tum karam nahin karte

kabhu idhar na mehrbani ki

apne nazdik dard-e-dil main kaha

tere nazdik qissa-KHwani ki

harza-goi se mujh ko di hai najat

haigi minnat ye be-zabani ki

nahin taqat ki dam nikal sakun

ab ye naubat hai na-tawani ki

'asar' is haal pe bhi jita hai

kya kahun us ki saKHt-jaani ki

(429) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sarf-e-gham Humne Naujawani Ki In English By Famous Poet Meer Asar. Sarf-e-gham Humne Naujawani Ki is written by Meer Asar. Read famous Poem Sarf-e-gham Humne Naujawani Ki for youth and Student by Meer Asar. Free Download Sarf-e-gham Humne Naujawani Ki in PDF.