Wahshat-zada Dil To Jun Sharar Hai

wahshat-zada dil to jun sharar hai

is ke tain aap se safar hai

tum jaur-o-jafa karo jo chaho

in baaton pe kab mujhe nazar hai

tu aap hi KHair aap shar hai

kuchh aur na nafa ne zarar hai

hum be-KHabron se rah KHabar-dar

itni to bhala tujhe KHabar hai

guzri jati hai har tarah se

duniya guzran sar-ba-sar hai

dil ke KHatron se be-KHatar hun

sar se panw talak KHatar hai

tu ne hi to yun niDar kiya hai

bas ek mujhe tera hi Dar hai

yun dard ba-jaan-o-dil samaya

har nala-o-ah kargar hai

ya hazrat-e-andalib baKHshish

ye tere hi dard ka asar hai

dil teri taraf hai nit par is ko

malum nahin ki tu kidhar hai

yun aankh se aankh mein mila hai

itna to mera dil o jigar hai

be-dard tu kyunki rah sakega

ye hazrat-e-'dard' ka 'asar' hai

(419) Peoples Rate This

Related Poetry

Your Thoughts and Comments

Wahshat-zada Dil To Jun Sharar Hai In English By Famous Poet Meer Asar. Wahshat-zada Dil To Jun Sharar Hai is written by Meer Asar. Read famous Poem Wahshat-zada Dil To Jun Sharar Hai for youth and Student by Meer Asar. Free Download Wahshat-zada Dil To Jun Sharar Hai in PDF.