Sargarm-e-tamasha Tha Dil Mahw-e-ada Barson

sargarm-e-tamasha tha dil mahw-e-ada barson

samjha hi nahin nadan mafhum-e-wafa barson

aashufta-mizaj aaKHir jaen to kahan jaen

har gam pe yaron ne dhoka hi diya barson

ek bar guzarta hai dil dard ki rahon se

rag rag se taDapti hai tasir-e-dua barson

wo aalam-e-madhoshi wo masti-e-rindana

gul-rang jawani thi kya hosh-ruba barson

aaghosh-e-tasawwur mein sau bar go aate hain

lekin na qarib aae wo jaan-e-haya barson

go 'mir' ke nalon mein tasir-e-junun kam thi

aisa bhi kahan hoga ab shoala-nawa barson

(379) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sargarm-e-tamasha Tha Dil Mahw-e-ada Barson In English By Famous Poet Meer Basheer. Sargarm-e-tamasha Tha Dil Mahw-e-ada Barson is written by Meer Basheer. Read famous Poem Sargarm-e-tamasha Tha Dil Mahw-e-ada Barson for youth and Student by Meer Basheer. Free Download Sargarm-e-tamasha Tha Dil Mahw-e-ada Barson in PDF.