Aahon Se Mere Ghar Mein Hawa Garm Rahegi

aahon se mere ghar mein hawa garm rahegi

main jaunga to bhi meri ja garm rahegi

bharte hi rahenge nafas-e-sard hazaron

jab tak ki tari aan-o-ada garm rahegi

jalna mere tab dil ka lagega ye Thikane

sohbat tari jab mujh se sada garm rahegi

choTi mein dil-soKHta ko gundh ke pyare

mat phek qifa par ki qifa garm rahegi

bulbul na mujhe dijiyo to nale ki taklif

warna asar is ke se saba garm rahegi

jab tak nahin to duKHtar-e-raz hi ko rakhunga

kuchh to ye baghal meri bhala garm rahegi

ushshaq ko targhib-e-mohabbat hi karega

jab tak hai 'hasan' bazm-e-wafa garm rahegi

(417) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aahon Se Mere Ghar Mein Hawa Garm Rahegi In English By Famous Poet Meer Hasan. Aahon Se Mere Ghar Mein Hawa Garm Rahegi is written by Meer Hasan. Read famous Poem Aahon Se Mere Ghar Mein Hawa Garm Rahegi for youth and Student by Meer Hasan. Free Download Aahon Se Mere Ghar Mein Hawa Garm Rahegi in PDF.