Ai Gard-baad Tarf-e-chaman Tuk Guzar Kar

ai gard-baad tarf-e-chaman Tuk guzar kar

bulbul ke par paDe hain gulon par nisar kar

aae the aish ke liye so tu na yan mila

phir gham-kada ko uTh chale hum apne haar kar

kya muskura ke Tale hai ab phir kab aaega

dil be-qarar hota hai kuchh to qarar kar

daghon se dil ke sina to hai rashk-e-lala-zar

han ashk-e-surKH tu bhi to apni bahaar kar

dhajji bhi ek chhoDi na daman-o-jeb ki

dast-e-junun ne luTa mujhe tar tar kar

wo bhi na aaya aur nazar aane se rah gaya

dekha maza na aur dil ab intizar kar

be-chiz to nahin ye 'hasan' us gali mein roz

ja ja ke baat karte har ek se pukar kar

(322) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ai Gard-baad Tarf-e-chaman Tuk Guzar Kar In English By Famous Poet Meer Hasan. Ai Gard-baad Tarf-e-chaman Tuk Guzar Kar is written by Meer Hasan. Read famous Poem Ai Gard-baad Tarf-e-chaman Tuk Guzar Kar for youth and Student by Meer Hasan. Free Download Ai Gard-baad Tarf-e-chaman Tuk Guzar Kar in PDF.