Daman Ko Uske Khinchen Aghyar Sab Taraf Se

daman ko us ke khinchen aghyar sab taraf se

aur aah hum ye khinchen aazar sab taraf se

jab kaam-e-dil na hargiz hasil hua kahin se

dil ko uTha ke baiThe na-chaar sab taraf se

ji chahta hai is ke kuche mein baiTh rahiye

kar tark-e-ashnai yakbar sab taraf se

tujh pas bhi na aawen hum ab to jaen kidhar

tu ne to hum ko khoya ai yar sab taraf se

mizhgan se us ke kyunkar dil chhuT sake hamara

ghere hue hain is ko we KHar sab taraf se

parde hazar howen hail pa husn us ka

deta hai talibon ko didar sab taraf se

kona bhi ek dil ka sabit nahin ye kis ne

is ghar ko kar diya hai mismar sab taraf se

nala zaif apna pahunchega kyunki wan tak

ki hai buland us ne diwar sab taraf se

ek bar to azizan tum mil ke haal mera

kar baiTho us ke aage izhaar sab taraf se

diwana ho ke chhuTa duniya se warna yaran

hote gale ke mere tum haar sab taraf se

we din bhi aah koi kya the ki jin dinon mein

dil ko KHushi thi apne dildar sab taraf se

bas tere gham mein aa kar ab KHak ho gae hum

dil bujh gaya hamara ek bar sab taraf se

zikr-e-wafa-o-ulfat mat chheD bas 'hasan' ab

ji ho raha hai apna bezar sab taraf se

(378) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Daman Ko Uske Khinchen Aghyar Sab Taraf Se In English By Famous Poet Meer Hasan. Daman Ko Uske Khinchen Aghyar Sab Taraf Se is written by Meer Hasan. Read famous Poem Daman Ko Uske Khinchen Aghyar Sab Taraf Se for youth and Student by Meer Hasan. Free Download Daman Ko Uske Khinchen Aghyar Sab Taraf Se in PDF.