Hum Na Tanha Us Gali Se Jaan Ko Kho Kar UTh Gae

hum na tanha us gali se jaan ko kho kar uTh gae

saikDon yan zindagi se hath dho kar uTh gae

dekhne pae na hum ashkon ka apne kuchh samar

tuKHm goya yas ke ye the jo bo kar uTh gae

kal tere bin bagh main kuchh dil na apna jo laga

ashk-e-KHunin mein gulon ko hum Dubo kar uTh gae

loTte hain is ada-o-naz par aur ghash mein hum

the wo ahmaq jo ki teri kha ke Thokar uTh gae

jaan-o-dil hum ek jagah baiThe the kuche mein tere

pasban ke hath se aawara ho kar uTh gae

tu gaya tha DhunDhne un ko kahan we to 'hasan'

tere ghar mein aae baiThe leTe so kar uTh gae

(409) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hum Na Tanha Us Gali Se Jaan Ko Kho Kar UTh Gae In English By Famous Poet Meer Hasan. Hum Na Tanha Us Gali Se Jaan Ko Kho Kar UTh Gae is written by Meer Hasan. Read famous Poem Hum Na Tanha Us Gali Se Jaan Ko Kho Kar UTh Gae for youth and Student by Meer Hasan. Free Download Hum Na Tanha Us Gali Se Jaan Ko Kho Kar UTh Gae in PDF.