Itne Aansu To Na The Dida-e-tar Ke Aage

itne aansu to na the dida-e-tar ke aage

ab to pani hi bhara rahta hai ghar ke aage

dam-ba-dam mujh ko tasawwur hai usi dilbar ka

raat din phirta hai meri wo nazar ke aage

hain ye ai jaan mere dil se mujhe apne aziz

tere daghon ko main rakhta hun jigar ke aage

garmi apni ko faramosh karen mahr-wishan

sard ho jaen sab us rashk-e-qamar ke aage

baad-e-tundi se miyan teri mujhe hairat hai

kyunki rakhta hai tapanchon ko kamar ke aage

tere danton se main tashbih na dun gauhar ko

put ko qadr nahin silk-e-guhar ke aage

zor se kaam nikalta nahin be zar ke diye

zar bhi harba hai tera ek bashar ke aage

zar agar barsar-e-faulad nahin narm shuad

zor ka zor dhara rahta hai zar ke aage

kis ko kahta hai miyan yan se sarak yan se sarak

koi baiTha nahin aa kar tere dar ke aage

ye to majlis hai jahan baiTh gae baiTh gae

kyun jagah badle koi kahe ko sarke aage

ab kahan jae 'hasan' hathon se tere zalim

rakh liya tu ne use tegh-o-sipar ke aage

(397) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Itne Aansu To Na The Dida-e-tar Ke Aage In English By Famous Poet Meer Hasan. Itne Aansu To Na The Dida-e-tar Ke Aage is written by Meer Hasan. Read famous Poem Itne Aansu To Na The Dida-e-tar Ke Aage for youth and Student by Meer Hasan. Free Download Itne Aansu To Na The Dida-e-tar Ke Aage in PDF.