Jab Talak Tir Tera Aawe Hai NaKHchir Talak

jab talak tir tera aawe hai naKHchir talak

le ye naKHchir hi aa pahuncha tere tir talak

dast-o-pa mare bahut chah-e-zanaKH mein dil ne

hath lekin na gaya zulf ki zanjir talak

shukr-sad-shukr ki uqde yun hi hal hote gae

kaam pahuncha na hamara kabhi tadbir talak

us ki surat ka diwana hun ki jis ka KHat-o-KHal

na gaya mani-o-bahzad ki tahrir talak

hai yahi shauq shahadat ka agar dil mein to ishq

le hi pahunchega hamein bhi teri shamshir talak

ek musalman ka ji jata hai ulfat mein teri

ja kahe koi ye us kafir-e-be-pir talak

jab talak zar hai to sab koi hai phir koi nahin

sach hai makkhi bhi rahe hai shakar-o-shir talak

is tarah baiTh gaya KHana-e-dil mera ki bas

kaam phir us ka na pahuncha kabhi tamir talak

KHun ho ho ke Tapakta hai ye sau rang se dil

ta kisi rang mein pahunche teri taswir talak

main bhi ek mani-e-pechida ajab tha ki 'hasan'

guftugu meri na pahunchi kabhi taqrir talak

(431) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jab Talak Tir Tera Aawe Hai NaKHchir Talak In English By Famous Poet Meer Hasan. Jab Talak Tir Tera Aawe Hai NaKHchir Talak is written by Meer Hasan. Read famous Poem Jab Talak Tir Tera Aawe Hai NaKHchir Talak for youth and Student by Meer Hasan. Free Download Jab Talak Tir Tera Aawe Hai NaKHchir Talak in PDF.