Maza Be-hoshi-e-ulfat Ka Hoshyaron Se Mat Puchho

maza be-hoshi-e-ulfat ka hoshyaron se mat puchho

azizan KHwab ki lazzat ko be-daron se mat puchho

hamein kuchh daKHl in baaton mein sunte ho nahin mutlaq

haqiqat bewafai ki wafadaron se mat puchho

jo puchho to azizan dil se puchho ya ki tum hum se

hamari aur us ki baat aghyaron se mat puchho

gae we din jo rahte the jahan-abaad mein hum bhi

KHarabi shahr ki sahra ke aawaron se mat puchho

gulon ko kab KHabar hai haal-e-zar-e-andalibon se

haqiqat muflison ki aah zar-daron se mat puchho

wo dil rakhte hain apna pas apne balki ghairon ka

haqiqat be-dilon ki aah dil-daron se mat puchho

KHabar dil ki agarche ho mere ashkon se tum sun lo

ye waqif KHub hain us ghar se harkaron se mat puchho

unhon ka jal raha hai dil KHuda jaane ki kya bolen

mera ahwal koi mere gham-KHwaron se mat puchho

ye apne haal hi mein mast hain in ko kisi se kya

KHabar duniya wama-fiha ki mai-KHwaron se mat puchho

hua hai in dinon wo aashnaon se bhi begana

KHarabi ko 'hasan' ki aaj-kal yaron se mat puchho

(398) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Maza Be-hoshi-e-ulfat Ka Hoshyaron Se Mat Puchho In English By Famous Poet Meer Hasan. Maza Be-hoshi-e-ulfat Ka Hoshyaron Se Mat Puchho is written by Meer Hasan. Read famous Poem Maza Be-hoshi-e-ulfat Ka Hoshyaron Se Mat Puchho for youth and Student by Meer Hasan. Free Download Maza Be-hoshi-e-ulfat Ka Hoshyaron Se Mat Puchho in PDF.