Munh Apna KHushk Hai Aur Chashm Tar Hai

munh apna KHushk hai aur chashm tar hai

tere gham mein ye sair-e-bahr-o-bar hai

KHabar le dil ki us se jis ka ghar hai

kisi ke ghar ki hum ko kya KHabar hai

wo ab kyunkar na khinche aap ko dur

hamare chahne ka ye asar hai

hamein kuchh wo nahin hain aah warna

wahi hai sham aur wo hi sahar hai

hamein dekho na dekho tum hamein to

tumhaara dekhna madd-e-nazar hai

suna le marte marte gul ko bulbul

koi nala tere dil mein agar hai

uThata hai jo roz uTh dard-o-gham ko

kise taqat hai mera hi jigar hai

kabhi basta tha ek aalam yahan bhi

ye dil jo ab ki ujDa sa nagar hai

kaha chahe hai kuchh kahta hai kuchh aur

'hasan' dhyan in dinon tera kidhar hai

(349) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Munh Apna KHushk Hai Aur Chashm Tar Hai In English By Famous Poet Meer Hasan. Munh Apna KHushk Hai Aur Chashm Tar Hai is written by Meer Hasan. Read famous Poem Munh Apna KHushk Hai Aur Chashm Tar Hai for youth and Student by Meer Hasan. Free Download Munh Apna KHushk Hai Aur Chashm Tar Hai in PDF.