Na Bagh Se Gharaz Hai Na Gulzar Se Gharaz

na bagh se gharaz hai na gulzar se gharaz

hai bhi jo kuchh gharaz to hamein yar se gharaz

phirte hain hum to did ko tere hi dar pe kuchh

raste se hai na kaam na bazar se gharaz

kahne se kya kisi ke koi kuchh kaha kare

hum ko to ek us ki hai guftar se gharaz

ji in dinon mein aap se bhi hai KHafa wa-lek

bezar jo nahin hai to dildar se gharaz

phir phir ke aaj puchhte ho dil ka haal kyun

hai KHair tum ko kya dil-e-bimar se gharaz

aane ka wada kar ki na kar hum ko ab tere

iqrar se na kaam na inkar se gharaz

hum ko bhi dushmani se tere kaam kuchh nahin

tujh ko agar hamare nahin pyar se gharaz

sar-rishta jis ke hath laga ishq ka use

tasbih se na shauq na zunnar se gharaz

din-dar jo rakhe na 'hasan' mujh se kaam to

kafir hun main bhi rakhkhun jo din-dar se gharaz

(473) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Na Bagh Se Gharaz Hai Na Gulzar Se Gharaz In English By Famous Poet Meer Hasan. Na Bagh Se Gharaz Hai Na Gulzar Se Gharaz is written by Meer Hasan. Read famous Poem Na Bagh Se Gharaz Hai Na Gulzar Se Gharaz for youth and Student by Meer Hasan. Free Download Na Bagh Se Gharaz Hai Na Gulzar Se Gharaz in PDF.