Naghma-o-ishq Se Hain Subha-o-zunnar Mile

naghma-o-ishq se hain subha-o-zunnar mile

ek aawaz pe do saz ke hain tar mile

main to aashufta-e-dil aur dil aashufta-e-zulf

KHub hum donon giraftar giraftar mile

maslahat hai ki teri chashm ko hai dil se hijab

ranj ho aur jo bimar se bimar mile

din tawaqqo hi tawaqqo mein kahan tak guzren

mar gae hijr mein bas ab to kahin yar mile

apni hi waza pe lawenge KHuda KHair kare

be-tarah rahte hain is shoKH se ayyar mile

dard-o-ranj-o-alam o hasrat-o-dagh o gham-o-rashk

mujh ko kya kya na tere ishq mein aazar mile

kya baDi umr hai dil mein abhi guzra tha mere

ki maza howe jo aise mein wo dildar mile

bare to aan hi pahuncha mera ji shad hua

main ne ab jaana ki hain donon ke asrar mile

mund le jab tu in aaankhon ko jahan se tu 'hasan'

dil ki aaankhon se tujhe yar ka didar mile

(332) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Naghma-o-ishq Se Hain Subha-o-zunnar Mile In English By Famous Poet Meer Hasan. Naghma-o-ishq Se Hain Subha-o-zunnar Mile is written by Meer Hasan. Read famous Poem Naghma-o-ishq Se Hain Subha-o-zunnar Mile for youth and Student by Meer Hasan. Free Download Naghma-o-ishq Se Hain Subha-o-zunnar Mile in PDF.