Sab Naqsh Is Falak Ke Nagine Pe Aa Rahe

sab naqsh is falak ke nagine pe aa rahe

kar-e-jahan tamam kamine pe aa rahe

aage jo dilbari thi so aashiq-kushi hai ab

jo kaam mehr ke the so kine pe aa rahe

ghusse mein josh mara jo dariya-e-husn ne

jalwe nazakaton ke pasine pe aa rahe

Darta hai dil ki is pe taraqqi na ho kahin

milne ke waqt ab to mahine pe aa rahe

tu kuchh na bole aur maza ho ki mera hath

kandhe se tere masti mein sine pe aa rahe

dariya-e-dil ki mauj se KHatra hai chashm ko

mat ye kahin uchhal ke safine pe aa rahe

puli tale guzar gai lakhon ki umr ab

gumbad mein koi kaun se jine pe aa rahe

jin ka dimagh arsh pe tha ab hain paemal

koThe pe jo ki rahte the zine pe aa rahe

ganj-e-nihan se dil ke to waqif hue na hum

kya faeda jo zar ke dafine pe aa rahe

do din ke chao-chuz 'hasan' ke wo ho chuke

phir rafta rafta apne qarine pe aa rahe

(395) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sab Naqsh Is Falak Ke Nagine Pe Aa Rahe In English By Famous Poet Meer Hasan. Sab Naqsh Is Falak Ke Nagine Pe Aa Rahe is written by Meer Hasan. Read famous Poem Sab Naqsh Is Falak Ke Nagine Pe Aa Rahe for youth and Student by Meer Hasan. Free Download Sab Naqsh Is Falak Ke Nagine Pe Aa Rahe in PDF.