Darwesh Qaid-e-gham Mein Dil-e-zar Ho Gaya

darwesh qaid-e-gham mein dil-e-zar ho gaya

aazad ho gaya jo giraftar ho gaya

yusuf bhi lakh jaan se KHaridar ho gaya

tu ghar mein ghul tera sar-e-bazar ho gaya

raKHna tariq-e-ishq mein Dala jo hijr ne

nasur dil ka rauzan-e-diwar ho gaya

qatil ne qatl bhi jo subuk jaan kar kiya

lasha ba-rang-e-ruh subuk-bar ho gaya

ugla jo zahr afi-e-gesu-e-yar ne

har mu-e-mar-e-zulf-e-siyah mar ho gaya

soya hain wasl-e-shauq mein jaga wo naz se

main be-KHabar hua wo KHabar-dar ho gaya

bhaga gaya na lash pe ghash kha ke gir paDa

qatil ye mere KHun mein giraftar ho gaya

ishq-e-sanam gale ka mere haar ho gaya

gardan ka tar rishta-e-zunnar ho gaya

paigham-e-wasl hi mein KHafa yar ho gaya

iqrar ho gaya na kuchh inkar ho gaya

sham-o-sahar chamakne jo dagh-e-jigar laga

KHurshid-e-roz-o-sham-e-shab-tar ho gaya

kar-e-rah-e-KHuda na hua maut aa gai

ghaflat se banda dida-e-bedar ho gaya

qatil jo gul khilane laga shaKH-e-tegh se

maqtal bhi dam mein taKHta-e-gulzar ho gaya

khodi jo nahr kohkan-e-jeb-e-chaak ne

sau ja se TukDe daman-e-kohsar ho gaya

yaad-e-butan se kaba-e-dil but-kada hua

tar-e-nafas bhi rishta-e-zunnar ho gaya

roya tulu-e-mehr-e-tan-e-ghaur par jo 'arsh'

aab-e-rawan se jama-e-zartar ho gaya

(440) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Darwesh Qaid-e-gham Mein Dil-e-zar Ho Gaya In English By Famous Poet Meer Kallu Arsh. Darwesh Qaid-e-gham Mein Dil-e-zar Ho Gaya is written by Meer Kallu Arsh. Read famous Poem Darwesh Qaid-e-gham Mein Dil-e-zar Ho Gaya for youth and Student by Meer Kallu Arsh. Free Download Darwesh Qaid-e-gham Mein Dil-e-zar Ho Gaya in PDF.