Bas Ki Ek Jins-e-raegan Hun Main

bas-ki ek jins-e-raegan hun main

jitna arzan bikun giran hun main

na yahan aur na ab wahan hun main

kya bataun tumhein jahan hun main

yaad mein hai kisi ki istighraq

kaun pahunche wahan jahan hun main

madad ai naghma-sanji-e-bulbul

kab se gum-karda aashiyan hun main

Dhab hai ye yar tak pahunchne ka

kash qasid hi ka bayan hun main

nai ki manind KHushk hain aaza

kyun na sar-ta-ba-pa fughan hun main

lutf paya hai KHaksari mein

hun zamin go ki aasman hun main

kis ne jalwa dikha diya hai aaj

zamzama-sanj-e-al-aman hun main

ta-kuja tez-gamiyan bas kar

tausan-e-shauq ham-inan hun main

gard deti hai karwan ka pata

yaadgar-e-guzishtagan hun main

jaan kyunkar nisar-e-maqdam ho

ab wo aae ki nim-jaan hun main

kya nahin yaad barq ka girna

phir banata jo aashiyan hun main

ye safar dekhiye kahan ho tamam

misl-e-reg-e-rawan rawan hun main

koi is ahd mein nahin hai shafiq

aap apne pe mehrban hun main

dekh pachhtaega na le ke mujhe

maya-e-nazish-e-dukan hun main

ishq mein sau balaen lin sar par

apne haq mein KHud aasman hun main

qadr kyun KHwan-e-dahr par ho meri

sach hai na-KHwanda mehman hun main

awwal-e-shab hi hijr mein un ke

DhunDhta KHanjar-o-sinan hun main

na Tala us ke dar se ai 'majruh'

dusra sang-e-astan hun main

(425) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Bas Ki Ek Jins-e-raegan Hun Main In English By Famous Poet Meer Mehdi Majrooh. Bas Ki Ek Jins-e-raegan Hun Main is written by Meer Mehdi Majrooh. Read famous Poem Bas Ki Ek Jins-e-raegan Hun Main for youth and Student by Meer Mehdi Majrooh. Free Download Bas Ki Ek Jins-e-raegan Hun Main in PDF.