Idhar To Hum Jaan Kho Rahe Hain Udhar Wo Ulfat Se Ro Rahe Hain

idhar to hum jaan kho rahe hain udhar wo ulfat se ro rahe hain

kuduraten umr bhar ki dil se wo aaj ashkon mein dho rahe hain

na baz rakh hum ko rone se tu giren jo ashkon ke dane bahattar

ye kisht-e-hasrat mein apni hamdam umid ka tuKHm bo rahe hain

idhar taraqqi KHayal ko hai udhar taraqqi jamal ko hai

wahan to madd-e-nazar hai surma yahan tasawwur mein ro rahe hain

jahan hua tifl koi paida kaha ye man ne abul-bashar ki

meri bhi aaghosh hai kushada abas ye saman ho rahe hain

kiya hai be-jurm qatl mujh ko hujum-e-aghyar-o-ashna mein

aur is pe dekho DhiTai ashkon se daman apna bhigo rahe hain

na puchho kuchh masiyat ka aalam farishto hum kya ki tum ne bachte

haqiqat is ki unhin se puchho sara-e-duniya mein jo rahe hain

KHabar visal-e-adu ki sun kar visal ke mani sochte hain

unhin ko wan kuchh nahin hai shadi ki KHush yahan hum bhi ho rahe hain

gila abas un se kije 'aqil' kiya hai qismat ne un ko ghafil

jo dar pe ja kar pukara main ne to bole kah do ki so rahe hain

(365) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Idhar To Hum Jaan Kho Rahe Hain Udhar Wo Ulfat Se Ro Rahe Hain In English By Famous Poet Meer Mohammad Sultan Aaqil. Idhar To Hum Jaan Kho Rahe Hain Udhar Wo Ulfat Se Ro Rahe Hain is written by Meer Mohammad Sultan Aaqil. Read famous Poem Idhar To Hum Jaan Kho Rahe Hain Udhar Wo Ulfat Se Ro Rahe Hain for youth and Student by Meer Mohammad Sultan Aaqil. Free Download Idhar To Hum Jaan Kho Rahe Hain Udhar Wo Ulfat Se Ro Rahe Hain in PDF.