Aashiq Na Agar Wafa Karega

aashiq na agar wafa karega

phir aur kaho to kya karega

mat toDiyo dil sanam kisi ka

allah tera bhala karega

hai aalam-e-KHwab haal-e-duniya

dekhega jo chashm wa karega

jita na bachega koi zalim

aisi hi jo tu ada karega

kal ke to kai paDe hain zaKHmi

kya jaaniye aaj kya karega

aa jaega samne tu jis ke

dil kya hai ki ji fida karega

kya jaaniye kya karega tufan

gar ashk yunhi baha karega

'bedar' ye bait-e-dard ro ro

furqat mein teri paDha karega

apni aankhon mein tujh ko dekhun

aisa bhi kabhu KHuda karega

(306) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aashiq Na Agar Wafa Karega In English By Famous Poet Meer Mohammadi Bedar. Aashiq Na Agar Wafa Karega is written by Meer Mohammadi Bedar. Read famous Poem Aashiq Na Agar Wafa Karega for youth and Student by Meer Mohammadi Bedar. Free Download Aashiq Na Agar Wafa Karega in PDF.