Bahaar-e-gulshan-e-ayyam Hun Main

bahaar-e-gulshan-e-ayyam hun main

sahar nur o sawad-e-sham hun main

shitab aa ai mah-e-isa-nafas tu

ki KHurshid-e-kanar-e-baam hun main

agar manzur hai aana to jald aa

ki tujh bin saKHt be-aram hun main

bajae mai teri duri mein ai gul

ba-rang-e-lala KHun-asham hun main

muhibb-o-muKHlis o fidwi hun tera

samajh tu laeq-e-dushnam hun main

tujhe dekh aap mein rahta nahin main

gharaz tujh wasl se nakaam hun main

bahaar aai chaman mein go mujhe kya

giraftar o asir-e-dam hun main

nishan apna kahin paya nahin yan

faqat anqa-sifat yak nam hun main

na paigham o salam o ne mulaqat

abas tujh ishq mein bad-nam hun main

na hun parwana-e-har-shama 'bedar'

fida-e-sarw-e-gul-andam hun main

(336) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Bahaar-e-gulshan-e-ayyam Hun Main In English By Famous Poet Meer Mohammadi Bedar. Bahaar-e-gulshan-e-ayyam Hun Main is written by Meer Mohammadi Bedar. Read famous Poem Bahaar-e-gulshan-e-ayyam Hun Main for youth and Student by Meer Mohammadi Bedar. Free Download Bahaar-e-gulshan-e-ayyam Hun Main in PDF.