Chaman-e-lala Ye Ulfat Teri Dikhlati Hai

chaman-e-lala ye ulfat teri dikhlati hai

sainkaDon dagh hain aur ek meri chhati hai

garche tuti bhi hai shirin-suKHani mein mumtaz

par teri baat ki lazzat ko kahan pati hai

badli aa jati hai is lutf se KHurshid pe kam

zulf munh par tere jis aan se khul jati hai

gul hi tanha na KHajil hai ruKH-e-rangin se tere

nargis aankhon ke tere samne sharmati hai

main kahan aur tera wasl ye hai bas ai gul

gah be-gah teri bu to saba lati hai

raat thoDi si hai bas jaane de mil hans kar bol

na-KHushi ta-ba-kuja subh hui jati hai

raushni KHana-e-ashiq ki hai tujh se warna

tu na ho to shab-e-mahtab kise bhati hai

sadgi dekh to dil us se kare hai yari

nagani dekh ke jis zulf ko bal khati hai

mah-ruKHan kya hain ki ho aa ke muqabil 'bedar'

kanpti samne jis shoKH ke barq aati hai

(329) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Chaman-e-lala Ye Ulfat Teri Dikhlati Hai In English By Famous Poet Meer Mohammadi Bedar. Chaman-e-lala Ye Ulfat Teri Dikhlati Hai is written by Meer Mohammadi Bedar. Read famous Poem Chaman-e-lala Ye Ulfat Teri Dikhlati Hai for youth and Student by Meer Mohammadi Bedar. Free Download Chaman-e-lala Ye Ulfat Teri Dikhlati Hai in PDF.