tu hum se jo ham-sharab hoga
bahuton ka jigar kabab hoga
DhunDhega sahab chhupne ko mehr
jis roz wo be-naqab hoga
KHuban se na kar mohabbat ai dil
aaman kahan KHarab hoga
ai marg shitab kah tu mujh se
us zist ko kab jawab hoga
bosa de 'soz' ko meri jaan
matlab tera shitab hoga