Chand Sitare Qaid Hain Sare Waqt Ke Bandi-KHane Mein

chand sitare qaid hain sare waqt ke bandi-KHane mein

lekin main aazad hun saqi chhoTe se paimane mein

umr hai fani umr hai baqi is ki kuchh parwa hi nahin

tu ye kah de waqt lagega kitna aane jaane mein

tujh se duri duri kab thi pas aur dur to dhoka hain

farq nahin anmol ratan ko kho kar phir se pane mein

do pal ki thi andhi jawani na-dani ki bhar paya

umr bhala kyun bite sari ro ro kar pachhtane mein

pahle tera diwana tha ab hai apna diwana

pagal-pan hai waisa hi kuchh farq nahin diwane mein

KHushiyan aain achchha aain mujh ko kya ehsas nahin

sudh-budh sari bhul gaya hun dukh ke git sunane mein

apni biti kaise sunaen mad-masti ki baaten hain

'mira-ji' ka jiwan bita pas ke ek mai-KHane mein

(498) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Chand Sitare Qaid Hain Sare Waqt Ke Bandi-KHane Mein In English By Famous Poet Meeraji. Chand Sitare Qaid Hain Sare Waqt Ke Bandi-KHane Mein is written by Meeraji. Read famous Poem Chand Sitare Qaid Hain Sare Waqt Ke Bandi-KHane Mein for youth and Student by Meeraji. Free Download Chand Sitare Qaid Hain Sare Waqt Ke Bandi-KHane Mein in PDF.