Gunahon Se Nashw-o-numa Pa Gaya Dil

gunahon se nashw-o-numa pa gaya dil

dar-e-puKHta-kari pe pahuncha gaya dil

agar zindagi muKHtasar thi to phir kya

isi mein bahut aish karta gaya dil

ye nannhi si wusat ye nadan hasti

nae se naya bhed kahta gaya dil

na tha koi mabud par rafta rafta

KHud apna hi mabud banta gaya dil

nahin girya o KHanda mein farq koi

jo rota gaya dil to hansta gaya dil

bajae dil ek talKH aansu rahega

agar un ki mahfil mein aaya gaya dil

pareshan raha aap to fikr kya hai

mila jis se bhi us ko bahla gaya dil

kai raaz pinhan hain lekin khulenge

agar hashr ke roz pakDa gaya dil

bahut hum bhi chaalak bante the lekin

hamein baaton baaton mein bahka gaya dil

kahi baat jab kaam ki 'mira-ji' ne

wahin baat ko jhaT se palTa gaya dil

(476) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Gunahon Se Nashw-o-numa Pa Gaya Dil In English By Famous Poet Meeraji. Gunahon Se Nashw-o-numa Pa Gaya Dil is written by Meeraji. Read famous Poem Gunahon Se Nashw-o-numa Pa Gaya Dil for youth and Student by Meeraji. Free Download Gunahon Se Nashw-o-numa Pa Gaya Dil in PDF.