Jaise Hoti Aai Hai Waise Basar Ho Jaegi

jaise hoti aai hai waise basar ho jaegi

zindagi ab muKHtasar se muKHtasar ho jaegi

gesu-e-aks-e-shab-e-furqat pareshan ab bhi hai

hum bhi to dekhen ki yun kyunkar sahar ho jaegi

intizar-e-manzil-e-mauhum ka hasil ye hai

ek din hum par inayat ki nazar ho jaegi

sochta rahta hai dil ye sahil-e-ummid par

justuju aaina-e-madd-o-jazar ho jaegi

dard ke mushtaq gustaKHi to hai lekin muaf

ab dua andesha ye hai kargar ho jaegi

sans ke aaghosh mein har sans ka naghma ye hai

ek din ummid hai un ko KHabar ho jaegi

(655) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jaise Hoti Aai Hai Waise Basar Ho Jaegi In English By Famous Poet Meeraji. Jaise Hoti Aai Hai Waise Basar Ho Jaegi is written by Meeraji. Read famous Poem Jaise Hoti Aai Hai Waise Basar Ho Jaegi for youth and Student by Meeraji. Free Download Jaise Hoti Aai Hai Waise Basar Ho Jaegi in PDF.