Dhobi Ka GhaT

jis shaKHs ke malbus ki qismat mein likhi hai

kirnon ki tamazat

rashk aata hai mujh ko

us par

kyun sirf achhuta

anjaan anokha

ek KHwab hai KHalwat

kyun sirf tasawwur

bahlata hai mujh ko

kyun subh-e-shab-e-aish ka jhonka

ban kar

ruKHsar ke be-nam aziyyat

sahlata hai mujh ko?

kyun KHwab-e-fusun-gar ki quba chaak nahin hai

kyun gesu-e-pechida-o-raqsan

namnak nahin hai

ashk-e-dil-e-KHun se

kyun lams ki hasrat ke junun se

milti nahin mujh ko

be-qaid rihai

malbus pe kirnon ki tamazat

hai dam nazar ka

aur subh-e-shab-e-aish ko gesu ka mahakta hua jhonka

marhun sahar ka

hota hi nahin hai

kyun dhoe na pairahan-e-aluda ke dhabbe

maKHmur-e-masarrat

kirnon ki tamazat

ban jae na kyun rang-e-shab-e-aish ka ek aks-e-musalsal

majbur-e-aziyyat

to man le is aks ka manzar

deta hai tujhe jam-e-chashida ki si lazzat

kyun soch raha hai

jhuTa hai ye pyala

kya aaj zamane mein kahin dekhi hai tu ne

doshiza masarrat?

phaile hue malbus pe kirnon ki tamazat

hai zist ke gesu ki hararat

is shaKHs ko pairahan-e-aluda ke dhone hi se rozi

milti hai jahan mein

to us pe nazar kar

(502) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dhobi Ka GhaT In English By Famous Poet Meeraji. Dhobi Ka GhaT is written by Meeraji. Read famous Poem Dhobi Ka GhaT for youth and Student by Meeraji. Free Download Dhobi Ka GhaT in PDF.