Main Jinsi Khel Ko Sirf Ek Tan-asani Samajhta Hun

main jinsi khel ko sirf ek tan-asani samajhta hun

zariya aur hai mabud se milne ka duniya mein

taKHayyul ka baDa sagar tasawwur ke hasin jhonke

liye aate hain barish mein tamannaen ibaadat ki

magar puri nahin hoti tamanna dil ki chahat ki

kisi aurat ka pairahan kisi KHalwat ki KHushbuen

kisi ek lafz-e-be-mani ki miThi miThi sargoshi

yahi chizen mere ghamgin KHayalon par hamesha chhai rahti hain

ibaadat ka tariqa harkaten hain tishna o mubham

kabhi ruh-e-sanam bedar KHwab-e-marg-e-muhmal se nahin

kisi indar-sabha ki lakh pariyan aa ke bahlaen

lubhate nach nachen aur rasile rag bhi gaen

magar ye murda-dil aadi hai bas ghamgin KHayalon ka

ghaTa aati nahin KHushiyon ki barish la nahin sakti

meri ruh-e-hazin mahkum hai apne tassur ki

zariya aur hai mabud se milne ka duniya mein

main jinsi khel ko kyun ek tan-asani samajhta hun

kabhi insan ki umr-e-muKHtasar par ghaur karta hun

kabhi fani tamannaon ki jhilon mein yunhi khoya sa phirta hun

(582) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Main Jinsi Khel Ko Sirf Ek Tan-asani Samajhta Hun In English By Famous Poet Meeraji. Main Jinsi Khel Ko Sirf Ek Tan-asani Samajhta Hun is written by Meeraji. Read famous Poem Main Jinsi Khel Ko Sirf Ek Tan-asani Samajhta Hun for youth and Student by Meeraji. Free Download Main Jinsi Khel Ko Sirf Ek Tan-asani Samajhta Hun in PDF.