Uljhan Ki Kahani

ek akahra dusra dohra tisra hai so tihra hai

ek akahre par pal pal ko dhyan ka KHunin pahra hai

dusre dohre ke raste mein tisra khel ka mohara hai

tisra tihra jo hai us ka sab se ujagar chehra hai

goya akahra pahra dohra mohra tihra chehra hai

ek akahra kaghaz dohra tihra ho kar naw bani

naw se pal bhar bachche bahle khel khel mein ghao bani

ghao bani to dil mein dhyan ye aaya kah den aao bani

ban ban kar jo khel bigaD jate hain un ki baat nahin

koi janaza bhi ye nahin hai aur koi baraat nahin

ye ek aisa din hai jis ke aage pichhe raat nahin

tihre ki har tah mein yun to ek naya hi chehra hai

lekin har ek chehra us bin khele khel ka mohra hai

jis ka rang akahra hai

aage baat baDhaen kaise baat bane to baat baDhe

ab tak rang akahra tha gar koi baDha to hath baDhe

honi ki to rit yahi hai chhoTe din ki raat baDhe

ab to jo bhi baDhna chahe apne sath hi sath baDhe

aage pichhe dauD dauD kar ek aage ek pichhe hai

pichhe wala kaise baDhe jab aage wala bhi dauDe

donon choT barabar ki hain ye donon se kaun kahe

haar aur jit isi mein hai ab kaun ruke aur kaun baDhe

(517) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Uljhan Ki Kahani In English By Famous Poet Meeraji. Uljhan Ki Kahani is written by Meeraji. Read famous Poem Uljhan Ki Kahani for youth and Student by Meeraji. Free Download Uljhan Ki Kahani in PDF.