Dur Kinara

phaili dharti ke sine pe jangal bhi hain lahlahate hue

aur dariya bhi hain dur jate hue

aur parbat bhi hain apni chup mein magan

aur sagar bhi hain josh khate hue

un pe chhaya hua nila aakash hai

nile aakash mein nur late hue din ko suraj bhi hai

sham jaane pe hai chand se samna

raat aane pe nanhe sitare bhi hain jhilmilate hue

aur kuchh bhi nahin

ab tak aai na aainda to aaegi bas yahi baat hai

aur kuchh bhi nahin

ek tu ek main dur hi dur hain

aaj tak dur hi dur har baat hoti rahi

dur hi dur jiwan guzar jaega

lahr se lahr Takrae kaise kaho

aur sahil se chhu jae kaise kaho

lahr ko lahr se dur karti hui beach mein sainkaDon aur lahren bhi hain

aur kuchh bhi nahin

chhai masti jo dil par mere bhul ki

ek hi baat rah rah ke kahta hai

ek hi dhyan ke dard mein dil ko lazzat mili

aarzu ki kali kab khili

ek hi mauj par main to bahta raha

ab tak aai na aainda tu aaegi

chahe dharti ke sine pe jangal na hun

chahe parbat na hon chahe dariya na hon chahe sagar na hon

nile aakash mein chand-tare na hon koi suraj na ho

raat-din hon na duniya mein sham-o-sahar

koi parwa nahin

ek hi dhyan hai

dur hi dur jiwan guzar jaega aur kuchh bhi nahin

(1771) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dur Kinara In English By Famous Poet Meeraji. Dur Kinara is written by Meeraji. Read famous Poem Dur Kinara for youth and Student by Meeraji. Free Download Dur Kinara in PDF.