Sare Jag Se RuTh Jaana Chahti Hun

sare jag se ruTh jaana chahti hun

han magar tum ko manana chahti hun

ek KHushi gar tu jo mujh ko de sake to

sare gham ko bhul jaana chahti hun

han watan ko chhoDa barso ho chuke hain

ab main lekin lauT aana chahti hun

ibtida tu hi hai meri intiha bhi

main faqat itna batana chahti hun

inT patthar se makan bante hai sab ke

main bharose ka banana chahti hun

bas tera hi pyar mangun zindagi mein

main kahan koi KHazana chahti hun

main ne kab chaha ki mar jaana mujhe hai

ek jine ka bahana chahti hun

(433) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sare Jag Se RuTh Jaana Chahti Hun In English By Famous Poet Megi Asnani. Sare Jag Se RuTh Jaana Chahti Hun is written by Megi Asnani. Read famous Poem Sare Jag Se RuTh Jaana Chahti Hun for youth and Student by Megi Asnani. Free Download Sare Jag Se RuTh Jaana Chahti Hun in PDF.