Lamba Safar Hai Sud-o-ziyan Dekhte Raho

lamba safar hai sud-o-ziyan dekhte raho

tum inqalab-e-kaun-o-makan dekhte raho

aankhen karoge band to uTThengi ungliyan

daur-e-bahaar ho ki KHizan dekhte raho

aaina dil ka hai jo shikasta to kya hua

tum ab kamal-e-shisha-garan dekhte raho

aaseb ki misal hain ye raste tamam

jae bhaTak ke kaun kahan dekhte raho

dil aur shama donon barabar hain soKHta

uThta hai kis jagah se dhuan dekhte raho

(374) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Lamba Safar Hai Sud-o-ziyan Dekhte Raho In English By Famous Poet Mehboob Azmi. Lamba Safar Hai Sud-o-ziyan Dekhte Raho is written by Mehboob Azmi. Read famous Poem Lamba Safar Hai Sud-o-ziyan Dekhte Raho for youth and Student by Mehboob Azmi. Free Download Lamba Safar Hai Sud-o-ziyan Dekhte Raho in PDF.