Achchhi Lagin Kitabon Mein Baaten Usul Ki

achchhi lagin kitabon mein baaten usul ki

un par amal kiya hai yahi hum ne bhul ki

saleh riwayaton pe bhi aane laga zawal

qimat baDhi hai in dinon kaghaz ke phul ki

bachchon ke ruKH pe dekhi hai mayusiyon ki gard

jab KHali hath ghar mein pahunchne ki bhul ki

ek aarzu ne Dal diya hai azab mein

kab tak saza milegi mujhe ek bhul ki

wo apne aap mil gaya taqdir mein jo tha

hum ne tamam umr-e-tag-o-dau fuzul ki

hum ne to intizar mein umren guzar din

saat na aai husn-e-karam ke nuzul ki

eazaz pane walon mein kyun mera nam ho

'mehdi' jo ye zakat na main ne qubul ki

(392) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Achchhi Lagin Kitabon Mein Baaten Usul Ki In English By Famous Poet Mehdi Pratapgarhi. Achchhi Lagin Kitabon Mein Baaten Usul Ki is written by Mehdi Pratapgarhi. Read famous Poem Achchhi Lagin Kitabon Mein Baaten Usul Ki for youth and Student by Mehdi Pratapgarhi. Free Download Achchhi Lagin Kitabon Mein Baaten Usul Ki in PDF.