Tere KHamosh Takallum Ka Sahaara Ho Jaun

tere KHamosh takallum ka sahaara ho jaun

tera andaz badal dun tera lahja ho jaun

tu mere lams ki tasir se waqif hi nahin

tujh ko chhu lun to tere jism ka hissa ho jaun

tere honTon ke liye honT mere aab-e-hayat

aur koi jo chhue zahr ka pyala ho jaun

kar diya tere taghaful ne adhura mujh ko

ek hichki agar aa jae to pura ho jaun

dil ye karta hai ki is umr ki pagDanDi par

ulTe pairon se chalun phir wahi laDka ho jaun

apni takmil ka kuchh zaiqa tabdil karun

tujh se bichhDun main zara der adhura ho jaun

dil ki sohbat mujhe har waqt jawan rakhti hai

aql ke sath chala jaun to buDDha ho jaun

is qadar chiKHti rahti hai KHamoshi mujh mein

shor kanon mein utar jae to bahra ho jaun

tere chaDhte hue dariya ko pasheman kar dun

tujh ko pane ke liye ret ka sahra ho jaun

aap hasti ko tere shauq pe qurban karun

tu agar toD ke KHush ho to khilauna ho jaun

(2057) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tere KHamosh Takallum Ka Sahaara Ho Jaun In English By Famous Poet Mehshar Afridi. Tere KHamosh Takallum Ka Sahaara Ho Jaun is written by Mehshar Afridi. Read famous Poem Tere KHamosh Takallum Ka Sahaara Ho Jaun for youth and Student by Mehshar Afridi. Free Download Tere KHamosh Takallum Ka Sahaara Ho Jaun in PDF.