Begana-war Humse Yagana Badal Gaya
begana-war hum se yagana badal gaya
kaisi chali hawa ki zamana badal gaya
aankhen bhi dekhti hain zamane ke rang-Dhang
dil bhi samajh raha hai zamana badal gaya
badla na tha zamana agar tum na badle the
jab tum badal gae to zamana badal gaya
un ko dilain yaad jab agli inayaten
wo bhi ye kah uThe ki zamana badal gaya
bas ek ai 'wafa' mere miTne ki der thi
mujh ko miTa chuka to zamana badal gaya
(379) Peoples Rate This
Fatal error: Uncaught PDOException: SQLSTATE[42S22]: Column not found: 1054 Unknown column 'id' in 'ORDER BY' in /home/darsaal/htdocs/darsaal.com/poetry/poem_en.php:544 Stack trace: #0 /home/darsaal/htdocs/darsaal.com/poetry/poem_en.php(544): PDOStatement->execute() #1 {main} thrown in /home/darsaal/htdocs/darsaal.com/poetry/poem_en.php on line 544
Mela Ram Wafa