Kaun Kahta Hai Ki Mar Jaane Se Kuchh Hasil Nahin
kaun kahta hai ki mar jaane se kuchh hasil nahin
zindagi us ki hai mar jaana jise mushkil nahin
han ye sara khel parwanon ki jaan-bazi ka hai
sham-e-raushan par madar-e-girya-e-mahfil nahin
aam hi karna paDega un ko faiz-e-iltifat
ghair hargiz iltifat-e-KHas ke qabil nahin
muntaKHab main hi hua mashq-e-taghaful ke liye
wo taghaful-kesh meri yaad se ghafil nahin
halqa-e-girdab hai gahwara-e-ishrat mujhe
zauq-e-asaish mera minnat-kash-e-sahil nahin
dekhiye kya ho hamare shauq-e-manzil ka maal
panw mein taqat ba-qadr-e-duri-e-manzil nahin
lakh dil qurban us chashm-e-nadamat-kesh par
yani mujh ko aarzu-e-KHun-baha-e-dil nahin
marja-e-barq-e-bala hai ai 'wafa' duniya-e-ishq
hasil-e-hasrat yahan juz hasrat-e-hasil nahin
(358) Peoples Rate This