Sham-e-alam Se Pahle Bhi Subh-e-tarab Ke Baad Bhi

sham-e-alam se pahle bhi subh-e-tarab ke baad bhi

shauq-e-talab na miT saka tark-e-talab ke baad bhi

phir ye wahi gham-e-firaq phir hai wahi kisi ki yaad

uf ye siyah-baKHton ruKHsat-e-shab ke baad bhi

farz tha ehtiram-e-dost tak magar na ruk sake

baat labon tak aa gai pas-e-adab ke baad bhi

sara ghurur-e-ashiqi KHak mein mil ke rah gaya

ho gaya un ka samna tark-e-talab ke baad bhi

raunaq-e-zist ho gai waqt ki talKHiyon mein gum

lab pe hansi na aa saki izn-e-tarab ke baad bhi

jo bhi ho ab maal-e-gham jo bhi ho ab nasib-e-ishq

main ne diye saba diye aalam-e-shab ke baad bhi

chaliye meri KHata sahi apna karam bhi dekhiye

jam na mil saka mujhe daur mein sab ke baad bhi

(494) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sham-e-alam Se Pahle Bhi Subh-e-tarab Ke Baad Bhi In English By Famous Poet Meraj Lakhnavi. Sham-e-alam Se Pahle Bhi Subh-e-tarab Ke Baad Bhi is written by Meraj Lakhnavi. Read famous Poem Sham-e-alam Se Pahle Bhi Subh-e-tarab Ke Baad Bhi for youth and Student by Meraj Lakhnavi. Free Download Sham-e-alam Se Pahle Bhi Subh-e-tarab Ke Baad Bhi in PDF.