Aaiye Aaj Aap Se Kuchh Raaz Ki Baaten Karen

aaiye aaj aap se kuchh raaz ki baaten karen

us hasin us ki nigah-e-naz ki baaten karen

wo ki jis ne muskura ke kah diya tha haal-e-dil

us tabassum us hasin andaz ki baaten karen

tha wo bachpan ya jawani jab suna tha nam-e-ishq

aaj phir un ajnabi alfaz ki baaten karen

yaad hai ab tak hamein sahma sa wo izhaar-e-ishq

band aankhen kanpti aawaz ki baaten karen

thak gae duniya ki KHatir KHud ko de de kar fareb

aaj phir apne dil-e-na-saz ki baaten karen

hai bahut mayus ye dil dekh kar anjam-e-ishq

phir bhi hum ai ham-nashin aaghaz ki baaten karen

hijr ki rut sahn-e-jism-o-jaan se ruKHsat ho gai

KHushnuma mausam hai ab hum raaz ki baaten karen

(546) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aaiye Aaj Aap Se Kuchh Raaz Ki Baaten Karen In English By Famous Poet Minu Bakshi. Aaiye Aaj Aap Se Kuchh Raaz Ki Baaten Karen is written by Minu Bakshi. Read famous Poem Aaiye Aaj Aap Se Kuchh Raaz Ki Baaten Karen for youth and Student by Minu Bakshi. Free Download Aaiye Aaj Aap Se Kuchh Raaz Ki Baaten Karen in PDF.