But Ki Manind Na Apne Ko Banae Rakhna

but ki manind na apne ko banae rakhna

jis jagah rahna wahan dhum machae rakhna

KHud ko dariya mein na qatron sa milae rakhna

munfarid hone ka ehsas dilae rakhna

kaam farzana-e-duniya ka nahin ai naseh

parcham-e-ishq zamane mein uThae rakhna

chashm-e-maKHluq hai mizan-e-raza-e-maula

chashm-e-maKHluq mein KHud ko na girae rakhna

tujh ko dena ho agar zulmat-e-hijran ko shikast

shama bujh jae magar dil na bujhae rakhna

qalb-e-KHuddar ki KHatir to hai zillat ka sabab

lau sada us but-e-kafir se lagae rakhna

jis se milti ho har ek lahza ghazal ki KHushbu

sehn-e-ehsas mein wo phul khilae rakhna

mere dil ko to kisi haal mein manzur nahin

fikr-e-duniya mein teri yaad bhulae rakhna

(452) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

But Ki Manind Na Apne Ko Banae Rakhna In English By Famous Poet Minu Bakshi. But Ki Manind Na Apne Ko Banae Rakhna is written by Minu Bakshi. Read famous Poem But Ki Manind Na Apne Ko Banae Rakhna for youth and Student by Minu Bakshi. Free Download But Ki Manind Na Apne Ko Banae Rakhna in PDF.