Tumhaari Be-adai Ke Maze Aane Lage Mujhko

tumhaari be-adai ke maze aane lage mujh ko

jo mere dushman-e-jaan the wo samjhane lage mujh ko

teri furqat mein haalat ho gai hai aaj wo meri

ye mere chaara-gar zanjir pahnane lage mujh ko

KHudaya dekh kar un ko mujhe tujh par yaqin aaya

unhin mein to tere jalwe nazar aane lage mujh ko

diye ashkon ke palkon ki munDeron par hue raushan

kabhi jo sham-e-hijran aap yaad aane lage mujh ko

natija dil ke samjhane ka nikle bhi to kya nikle

use samjhane jo baiThun wo samjhane lage mujh ko

na jin ke jism par sar hai na chehra hai na aankhen hain

qayamat hai wahi aaina dikhlane lage mujh ko

jo patthar phenkne walon ko main ne ghaur se dekha

bahut se log un mein jaane pahchane lage mujh ko

(521) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tumhaari Be-adai Ke Maze Aane Lage Mujhko In English By Famous Poet Minu Bakshi. Tumhaari Be-adai Ke Maze Aane Lage Mujhko is written by Minu Bakshi. Read famous Poem Tumhaari Be-adai Ke Maze Aane Lage Mujhko for youth and Student by Minu Bakshi. Free Download Tumhaari Be-adai Ke Maze Aane Lage Mujhko in PDF.