Aae Hain Mir Kafir Ho Kar KHuda Ke Ghar Mein

aae hain 'mir' kafir ho kar KHuda ke ghar mein

peshani par hai qashqa zunnar hai kamar mein

nazuk badan hai kitna wo shoKH-chashm dilbar

jaan us ke tan ke aage aati nahin nazar mein

sine mein tir us ke TuTe hain be-nihayat

suraKH paD gae hain sare mere jigar mein

aainda sham ko hum roya kuDha karenge

mutlaq asar na dekha nalidan-e-sahar mein

be-sudh paDa rahun hun us mast-e-naz bin main

aata hai hosh mujh ko ab to pahr pahr mein

sirat se guftugu hai kya mo'tabar hai surat

hai ek sukhi lakDi jo bu na ho agar mein

ham-saya-e-mughan mein muddat se hun chunanche

ek shira-KHane ki hai diwar mere ghar mein

ab subh o sham shayad girye pe rang aawe

rahta hai kuchh jhamakta KHunab chashm-e-tar mein

aalam mein aab-o-gil ke kyunkar nibah hoga

asbab gir paDa hai sara mera safar mein

(397) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aae Hain Mir Kafir Ho Kar KHuda Ke Ghar Mein In English By Famous Poet Mir Taqi Mir. Aae Hain Mir Kafir Ho Kar KHuda Ke Ghar Mein is written by Mir Taqi Mir. Read famous Poem Aae Hain Mir Kafir Ho Kar KHuda Ke Ghar Mein for youth and Student by Mir Taqi Mir. Free Download Aae Hain Mir Kafir Ho Kar KHuda Ke Ghar Mein in PDF.