Ab Aankhon Mein KHun Dam-ba-dam Dekhte Hain

ab aankhon mein KHun dam-ba-dam dekhte hain

na puchho jo kuchh rang hum dekhte hain

jo be-aKHtyari yahi hai to qasid

hamin aa ke us ke qadam dekhte hain

gahe dagh rahta hai dil ga jigar KHun

un aankhon se kya kya sitam dekhte hain

agar jaan aankhon mein us bin hai to hum

abhi aur bhi koi dam dekhte hain

likhen haal kya us ko hairat se hum to

gahe kaghaz o gah qalam dekhte hain

wafa-peshgi qais tak thi bhi kuchh kuchh

ab us taur ke log kam dekhte hain

kahan tak bhala rooge 'mir'-sahib

ab aankhon ke gird ek waram dekhte hain

(451) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ab Aankhon Mein KHun Dam-ba-dam Dekhte Hain In English By Famous Poet Mir Taqi Mir. Ab Aankhon Mein KHun Dam-ba-dam Dekhte Hain is written by Mir Taqi Mir. Read famous Poem Ab Aankhon Mein KHun Dam-ba-dam Dekhte Hain for youth and Student by Mir Taqi Mir. Free Download Ab Aankhon Mein KHun Dam-ba-dam Dekhte Hain in PDF.