Ab Zoaf Se Dhahta Hai Betabi Shitabi Ki

ab zoaf se Dhahta hai betabi shitabi ki

us dil ke taDapne ne kya KHana-KHarabi ki

un daras-gahon mein wo aaya na nazar hum ko

kya naqal karun KHubi us chehra kitabi ki

bhunte hain dil ek jaanib sakte hain jigar yaksu

hai majlis-e-mushtaqan dukan kababi ki

talKH us lab-e-mai-gun se sab sunte hain kis KHatir

tah-dar nahin hoti guftar sharabi ki

yak bu kushi bulbul hai maujib-e-sad-masti

pur-zor hai kya daru ghunche ki gulabi ki

ab soz-e-mohabbat se sare jo phaphole hain

hai shakl mere dil ki sab shisha hababi ki

nash-murda mere munh se yan harf nahin nikla

jo baat ki main ne ki so 'mir' hisabi ki

(431) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ab Zoaf Se Dhahta Hai Betabi Shitabi Ki In English By Famous Poet Mir Taqi Mir. Ab Zoaf Se Dhahta Hai Betabi Shitabi Ki is written by Mir Taqi Mir. Read famous Poem Ab Zoaf Se Dhahta Hai Betabi Shitabi Ki for youth and Student by Mir Taqi Mir. Free Download Ab Zoaf Se Dhahta Hai Betabi Shitabi Ki in PDF.