Ai Gul-e-nau-damida Ke Manind

ai gul-e-nau-damida ke manind

hai tu kis aafrida ke manind

hum ummid-e-wafa pe teri hue

ghuncha-e-dair chida ke manind

KHak ko meri sair kar ke phira

wo ghazal-e-ramida ke manind

sar uThate hi ho gae pamal

sabza-e-nau-damida ke manind

na kaTe raat hijr ki jo na ho

nala tegh-e-kashida ke manind

hum giraftar-e-haal hain apne

tair-e-par-burida ke manind

dil taDapta hai ashk-e-KHunin mein

said-e-dar-KHun tapida ke manind

tujh se yusuf ko kyunke nisbat den

kab shunida ho dida ke manind

'mir'-sahib bhi us ke han the lek

banda-e-zar KHarida ke manind

(583) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ai Gul-e-nau-damida Ke Manind In English By Famous Poet Mir Taqi Mir. Ai Gul-e-nau-damida Ke Manind is written by Mir Taqi Mir. Read famous Poem Ai Gul-e-nau-damida Ke Manind for youth and Student by Mir Taqi Mir. Free Download Ai Gul-e-nau-damida Ke Manind in PDF.