Band-e-qaba Ko KHuban Jis Waqt Wa Karenge

band-e-qaba ko KHuban jis waqt wa karenge

KHamyaza-kash jo honge milne ke kya karenge

rona yahi hai mujh ko teri jafa se har-dam

ye dil-dimagh donon kab tak wafa karenge

hai din sar ka dena gardan pe apni KHuban

jite hain to tumhaara ye qarz ada karenge

darwesh hain hum aaKHir do-ik nigah ki ruKHsat

goshe mein baiThe pyare tum ko dua karenge

aaKHir to roze aae do-chaar rose hum bhi

tarsa bachon mein ja kar daru piya karenge

kuchh to kahega hum ko KHamosh dekh kar wo

is baat ke liye ab chup hi raha karenge

aalam mere hai tujh par aai agar qayamat

teri gali ke har-su mahshar hua karenge

daman-e-dasht sukha abron ki be-tahi se

jangal mein rone ko ab hum bhi chala karenge

lai teri gali tak aawargi hamari

zillat ki apni ab hum izzat kiya karenge

ahwal-e-'mir' kyunkar aaKHir ho ek shab mein

ek umr hum ye qissa tum se kaha karenge

(413) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Band-e-qaba Ko KHuban Jis Waqt Wa Karenge In English By Famous Poet Mir Taqi Mir. Band-e-qaba Ko KHuban Jis Waqt Wa Karenge is written by Mir Taqi Mir. Read famous Poem Band-e-qaba Ko KHuban Jis Waqt Wa Karenge for youth and Student by Mir Taqi Mir. Free Download Band-e-qaba Ko KHuban Jis Waqt Wa Karenge in PDF.