Ba-rang-e-bu-e-gul Us Bagh Ke Hum Aashna Hote

ba-rang-e-bu-e-gul us bagh ke hum aashna hote

ki hamrah-e-saba Tuk sair karte phir hawa hote

sarapa aarzu hone ne banda kar diya hum ko

wagarna hum KHuda the gar dil-e-be-muddaa hote

falak ai kash hum ko KHak hi rakhta ki is mein hum

ghubar-e-rah hote ya kasu ki KHak-e-pa hote

ilahi kaise hote hain jinhen hai bandagi KHwahish

hamein to sharm daman-gir hoti hai KHuda hote

tu hai kis nahiye se ai dayar-e-ishq kya jaanun

tere bashindagan hum kash sare bewafa hote

ab aise hain ki sanea ke mizaj upar baham pahunche

jo KHatir-KHwah apne hum hue hote to kya hote

kahin jo kuchh malamat gar baja hai 'mir' kya jaanen

unhen malum tab hota ki waise se juda hote

(667) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ba-rang-e-bu-e-gul Us Bagh Ke Hum Aashna Hote In English By Famous Poet Mir Taqi Mir. Ba-rang-e-bu-e-gul Us Bagh Ke Hum Aashna Hote is written by Mir Taqi Mir. Read famous Poem Ba-rang-e-bu-e-gul Us Bagh Ke Hum Aashna Hote for youth and Student by Mir Taqi Mir. Free Download Ba-rang-e-bu-e-gul Us Bagh Ke Hum Aashna Hote in PDF.