Chalte Ho To Chaman Ko Chaliye Kahte Hain Ki Bahaaran Hai

chalte ho to chaman ko chaliye kahte hain ki bahaaran hai

pat hare hain phul khile hain kam kam baad-o-baran hai

rang hawa se yun Tapke hai jaise sharab chuwate hain

aage ho mai-KHane ke niklo ahd-e-baada-gusaran hai

ishq ke maidan-daron mein bhi marne ka hai wasf bahut

yani musibat aisi uThana kar-e-kar-guzaran hai

dil hai dagh jigar hai TukDe aansu sare KHun hue

lohu pani ek kare ye ishq-e-lala-azaran hai

kohkan o majnun ki KHatir dasht-o-koh mein hum na gae

ishq mein hum ko 'mir' nihayat pas-e-izzat-daran hai

(1046) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Chalte Ho To Chaman Ko Chaliye Kahte Hain Ki Bahaaran Hai In English By Famous Poet Mir Taqi Mir. Chalte Ho To Chaman Ko Chaliye Kahte Hain Ki Bahaaran Hai is written by Mir Taqi Mir. Read famous Poem Chalte Ho To Chaman Ko Chaliye Kahte Hain Ki Bahaaran Hai for youth and Student by Mir Taqi Mir. Free Download Chalte Ho To Chaman Ko Chaliye Kahte Hain Ki Bahaaran Hai in PDF.