Chhati Jala Kare Hai Soz-e-darun Bala Hai

chhati jala kare hai soz-e-darun bala hai

ek aag si rahe hai kya jaaniye ki kya hai

main aur tu hain donon majbur-e-taur apne

pesha tera jafa hai shewa mera wafa hai

ru-e-suKHan hai kidhar ahl-e-jahan ka ya rab

sab muttafiq hain is par har ek ka KHuda hai

kuchh be-sabab nahin hai KHatir meri pareshan

dil ka alam juda hai gham jaan ka juda hai

husn un bhi moinon ka tha aap hi suraton mein

is martabe se aage koi chale to kya hai

shadi se gham-e-jahan mein wo chand hum ne paya

hai id ek din to das roz yan daha hai

hai KHasam-jaan-e-ashiq wo mahw-e-naz lekin

har lamha be-adai ye bhi to ek ada hai

ho jae yas jis mein so aashiqi hai warna

har ranj ko shifa hai har dard ko dawa hai

nayab us guhar ki kya hai talash aasan

ji Dubta hai us ka jo tah se aashna hai

mushfiq malaz o qibla kaba KHuda payambar

jis KHat mein shauq se main kya kya use likha hai

tasir-e-ishq dekho wo nama wan pahunch kar

jun kaghaz-e-hawai har su uDa phira hai

hai garche tifl-e-maktab wo shoKH abhi to lekin

jis se mila hai us ka ustad ho mila hai

phirte ho 'mir' sahab sab se jude jude tum

shayad kahin tumhaara dil in dinon laga hai

(465) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Chhati Jala Kare Hai Soz-e-darun Bala Hai In English By Famous Poet Mir Taqi Mir. Chhati Jala Kare Hai Soz-e-darun Bala Hai is written by Mir Taqi Mir. Read famous Poem Chhati Jala Kare Hai Soz-e-darun Bala Hai for youth and Student by Mir Taqi Mir. Free Download Chhati Jala Kare Hai Soz-e-darun Bala Hai in PDF.