Dair-o-haram Se Guzre Ab Dil Hai Ghar Hamara

dair-o-haram se guzre ab dil hai ghar hamara

hai KHatm us aable par sair-o-safar hamara

palkon se teri hum ko kya chashm-dasht ye thi

un barchhiyon ne banTa baham jigar hamara

duniya-o-din ki jaanib mailan ho to kahiye

kya jaaniye ki is bin dil hai kidhar hamara

hain tere aaine ki timsal hum na puchho

is dasht mein nahin hai paida asar hamara

jon subh ab kahan hai tul-e-suKHan ki fursat

qissa hi koi dam ko hai muKHtasar hamara

kuche mein us ke ja kar banta nahin phir aana

KHun ek din girega us KHak par hamara

hai tira-roz apna laDkon ki dosti se

us din hi ko kahe tha aksar pidar hamara

sailab har taraf se aaenge baadiye mein

jon abr rote hoga jis dam guzar hamara

nashw-o-numa hai apni jon gard-baad anokhi

baalida KHak rah se hai ye shajar hamara

yun dur se khaDe ho kya mo'atabar hai rona

daman se bandh daman ai abr-e-tar hamara

jab pas raat rahna aata hai yaad us ka

thamta nahin hai rona do dopahar hamara

us karwan-sara mein kya 'mir' bar kholen

yan kuch lag raha hai sham-o-sahar hamara

(426) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dair-o-haram Se Guzre Ab Dil Hai Ghar Hamara In English By Famous Poet Mir Taqi Mir. Dair-o-haram Se Guzre Ab Dil Hai Ghar Hamara is written by Mir Taqi Mir. Read famous Poem Dair-o-haram Se Guzre Ab Dil Hai Ghar Hamara for youth and Student by Mir Taqi Mir. Free Download Dair-o-haram Se Guzre Ab Dil Hai Ghar Hamara in PDF.