DhunDa Na Paiye Jo Is Waqt Mein Sau Zar Hai

DhunDa na paiye jo is waqt mein sau zar hai

phir chah jis ki mutlaq hai hi nahin hunar hai

har-dam qadam ko apne rakh ehtiyat se yan

ye kar-gah sari dukkan-e-shishagar hai

Dhaya jinnon ne us ko un par KHarabi aai

jaana gaya usi se dil bhi kaso ka ghar hai

tujh bin shakeb kab tak be-faeda hun nalan

mujh nala kash ke to ai fariyaad-ras kidhar hai

said-afgano hamare dil ko jigar ko dekho

ek tir ka hadaf hai ek tegh ka sipar hai

ahl-e-zamana rahte ek taur par nahin hain

har aan martabe se apne unhen safar hai

kafi hai mahr qatil mahzar pe KHun ke mere

phir jis jagah ye jawe us ja hi mo'atabar hai

teri gali se bach kar kyun mehr-o-mah na niklen

har koi jaanta hai is rah mein KHatar hai

we din gae ki aansu rote the 'mir' ab to

aankhon mein laKHt-e-dil hai ya para-e-jigar hai

(454) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

DhunDa Na Paiye Jo Is Waqt Mein Sau Zar Hai In English By Famous Poet Mir Taqi Mir. DhunDa Na Paiye Jo Is Waqt Mein Sau Zar Hai is written by Mir Taqi Mir. Read famous Poem DhunDa Na Paiye Jo Is Waqt Mein Sau Zar Hai for youth and Student by Mir Taqi Mir. Free Download DhunDa Na Paiye Jo Is Waqt Mein Sau Zar Hai in PDF.