Dil Ki Taraf Kuchh Aah Se Dil Ka Lagao Hai

dil ki taraf kuchh aah se dil ka lagao hai

Tak aap bhi to aaiye yan zor baw hai

uThta nahin hai hath tera tegh-e-jaur se

nahaq kushi kahan tain ye kya subhaw hai

bagh-e-nazar hai chashm ke manzar ka sab jahan

Tak Thahro yan to jaano ki kaisa dikhao hai

taqrib hum ne Dali hai us se jue ki ab

jo ban paDe hai Tak to hamara hi daw hai

Tapka kare hai aankh se lohu hi roz-o-shab

chehre pe mere chashm hai ya koi ghaw hai

zabt sarishk-e-KHunin se ji kyunke shad ho

ab dil ki taraf lohu ka sara bahao hai

ab sab ke rozgar ki surat bigaD gai

lakhon mein ek do ka kahin kuchh banao hai

chhati ke meri sare numudar hain ye zaKHm

parda raha hai kaun sa ab kya chhupao hai

aashiq kahen jo hoge to jaanoge qadr-e-'mir'

ab to kisi ke chahne ka tum ko chaw hai

(454) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dil Ki Taraf Kuchh Aah Se Dil Ka Lagao Hai In English By Famous Poet Mir Taqi Mir. Dil Ki Taraf Kuchh Aah Se Dil Ka Lagao Hai is written by Mir Taqi Mir. Read famous Poem Dil Ki Taraf Kuchh Aah Se Dil Ka Lagao Hai for youth and Student by Mir Taqi Mir. Free Download Dil Ki Taraf Kuchh Aah Se Dil Ka Lagao Hai in PDF.